Rishton Main Na Itfaqi
Rohaniat ki roo say
aik makhsoos waqt k doran shaitani lehron ka dunia main nazool hota hai aur yea
shaitani lehrain har us fard ko apni lapait main lay leti hain jo us waqt Gunah
main mubtila ho ya Allah k zikar say Ghafil ho aur in shaitani lehron k ghar
main dakhil hotay hi achanak na khatam honay walay wo masail shuru ho jatay
hain jo ham ooper mukhtasar biyan kar chukay hain. Hamaray Rohani Mahreen nay
shar ki is rohaniat ko khatam karnay ka hul apnay maraqbat main talash kiya aur
wo is natijay par pohanchay k jis tarha is dunia main shar ki rohaniat ka aik
khas waqt main nazool hota hai isi tarha Khair ki rohaniat bhi dunia main nazool
karti hai. Khair ki yea rohaniat dunia main aman, sakoon aur khushian paida
karti hai lakin yea rohaniat sirf usi fard k jisam main khud ba khud dakhil
hoti hai jo us waqt khush qismati say Allah ka zikar kar raha ho aur is
rohaniat k dakhil hotay hi us fard k masail khud ba khud hal hotay chalay jatay
hain. Hamaray Rohani Mahreen nay shar ki rohaniat ko khatam karnay wali is khair
ki rohaniat ka zabardast mushahida karnay k baad isay is Naqsh (Rishton Main Na
Itfaqi) main tarteeb day diya.